Ramzan Quiz
Daily 10 Questions to test your Deen knowledge.
Learn, reflect and grow closer to Allah this Ramzan.
What is Ramadan?
Ramadan Islam ka sabse barkat aur rehmat wala mahina hai. Isi mahine me Qur’an nazil hua aur Musalmano par roza farz kiya gaya.
Meaning of Ramadan
Ramadan Arabic word “Ramad” se nikla hai jiska matlab hai jalna. Is mahine me insaan apne gunahon ko jala kar paak hota hai.
Rules of Fasting in Islam
Roza niyyat se shuru hota hai aur Maghrib par khatam hota hai. Khana, peena aur jaan-bujh kar ulti karna mana hota hai.
Benefits of Fasting
- Allah se qurbat badhata hai
- Gunahon se door rakhta hai
- Self-discipline sikhata hai
Suhoor – Why It Is Important
Suhoor Sunnat hai aur isme barkat hoti hai. Balanced suhoor roza asaan banata hai.
Iftar – Sunnah Way to Break the Fast
Nabi ﷺ khajoor aur pani se iftar karte the. Simple iftar sehat aur ibadat dono ke liye behtar hai.
Common Mistakes During Ramadan
Sirf bhookh ko roza samajhna, jhoot aur ghibat se roze ka sawab kam ho jata hai.
Who Is Exempted From Fasting?
- Beemar insaan
- Musafir
- Haamela aur doodh pilane wali aurat
Ramadan and Self-Discipline
Ramadan humein nafs par control aur discipline sikhata hai jo poori zindagi me kaam aata hai.
Importance of Quran in Ramadan
Ramadan Qur’an ka mahina hai. Is mahine me Qur’an padhna zyada sawab ka kaam hai.
Ramadan and Charity
Ramadan me sadqa aur zakat ka sawab kai guna badh jata hai. Gareebon ki madad karna is mahine ki rooh hai.
Ramadan – A Month of Change
Jo shakhs Ramadan ko dil se jee leta hai, uski zindagi me positive aur lasting change aata hai.